Monday, November 5, 2007

Yaadein .....

Yaadein hai kii hum kisi kii yaadon mein baas jaaye
Yaadein hai kii hum kisi ko yaad badha aaye

Yaadein hai kii bhulne pe bhi kaase bhulaye?
Yaadein hai kii rudh ke jo dur chala gaya hai use wapis bulaye

Yaadein hai kii humpe julm badha yeh karti hai
hamein jeene naheen deti naa hi marne deti hai


Yaadein kisi se yaadein meri yehi fariyaad karti hai
Uss tak pahounch jaaye sandesh kii yaadein meri aaj bhi usse yaad karti hai

Yaadein hai kii hum kisi kii yaadon mein baas jaaye
Yaadein hai kii hum kisi ko yaad badha aaye

Yaadein to yaadein hai koi kaase bhulaye?
Pal mein beet geya jo gura kal koi kaase vapis lekar aaye?

Yaadon kii dor se har koi bandha khadha hai
Yaadein aatit kii vartmann banke sabke aage khadha hai

Yaadon kaa yeh kaasa hai karz?
Yaadon kaa yeh karz koi kaase chukaye?

Yaadein hai kii hum kisi kii yaadon mein baas jaaye
Yaadein hai kii hum kisi ko yaad badha aaye

Yaadein hai kii jo hamein badha tadfati hai,
Aksar jab aati hai hamein madhosh kar jaati hai
Yaadein to bas yaadein hai,
Yaadein yaadon mein simat kar reh jaati hai

**************************************** ************************
Thanks.....

No comments: